Mention height and weight in health incorrectly
19 Sep, 2023
by jai prakash
Dear sir and madam...
Please reply bcoz ur advice really matters ...i bought a health insurance 2 yrs ago..par lagta hai ki main kuch galt height or weight liggya hoga ..kyu ki agent ne bola andaz se bata do ...lag raha andaza 5 ya 7 inch ka bhi or wieght ka bhi ho jada ho sakta hai ..ek chota surgery bhi batana me bhul gaya tha vo maine comp mail kiya tha ....comy ne unki under guideline me ata tha to accept kar liya....ab me mail bhi nahi kya karu ....2) kya moratorium period par kar lu to comp claim reject to nahi karegi ......please plaeze its is a request for a reply
0
Post
0
Hello Jai,
Aapke dwara itni mahatvapurn jankariyon ka chhupana aur sahi se naa batana, aapke bhavishya ke claim rejection ka kaaran ban sakta hai. Aapko apne insurance company ko jald se jald likhit roop se suchit karna chahiye ki aapne policy kharidte samay apni medical conditions aur height, weight sahi se declare nahi kiya tha.
Aur 8 saal ka moratorium yeh kehta hai ki insurance companies health insurance policy ke antargat kisi bhi claim ko reject nahi kar sakti (yadi kisi fraud ka saboot nahi milta hai). Yeh moratorium tabhi laagu hota hai agar aap yeh sabit kar sakte hain ki aapka yeh chhod diya gaya information sirf ek 'oversight' tha - aur unintentional tha.
Dhanyavaad!